Tuesday, August 4, 2009

shayari 2

aapse jude rishto pe naaz hai hume,
kal tha jitna bharosa utna aaj hai hume,
rishta wo nahi jo khushi me sath de,
rishta to wo jo har pal apnepan ka ehsaas de.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
khuda kisi ko kisi pe fidaa na kare,
kare to qayamat tak juda na kare,
ye maana ki koi marta nahi judaai me,
lekin jee bhi to nahi pata tanhai me.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
alvida kehkar jab koi dur hota hai,
nigahe thaki aur dil majboor hota hai,
pyaar ka yahi dastoor hota hai,
dil jise chahta hai..wo hamesha dur hota hai..
-------------------------------------------------------------------------------------------------
behte hue aansuon ki juba nahi hoti,
lafzon me mohabbat bayan nahi hoti,
pyaar mile to uski kadra karna ...kyunki,
kismat har kisi pe meharbaan nahi hoti.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
har nami me kuch kami to rahegi,
aankhein thodi shabnami to rahegi,
zindagi ko aap kitna bhi sawariye,
bin humare koi kami to rahegi.;
-------------------------------------------------------------------------------------------------
manjile bahut hai ,
afsane bahut hai,
rahe zindagi me,
imtehan aane bahut hai,
mat karo gila uska jo mila nahi,
is duniyan me khush rehne ke bahne bahut hai.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
muskurana hamesha me saath hu,
samne na sahi par aas paas hu,
palko ko band kar dil se yaad karna,
me aur koi nahi ....apnepan ka pyaara sa ehsaas hu.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
khushiyon ka samandar leker aayenge,
patjhar me bhi bahar leker aayenge,
jab bhi pukaroge pyaar se hume,
maut se bhi saansein udhar lekar aayenge.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
har 1 muskurahat muskan nahi hoti,
nafrat ho ya ho mohabbat aasan nahi hoti,
aansoo gum ke ho ya ho khushi ke,
har kisi ko inki pehchaan nahi hoti.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
har gira ghunghat haya ka nahi hota,
har utha hath dua ka nahi hota,
bujh jaate hai diye hamari hi galtiyon se,
har bar kusur hawao ka nahi hota.
-------------------------------------------------------------------------------------------------

1 comment:

  1. Rakh hosla wo majar bhi aayga,
    Manjil bhi milegi aur milne ka maza bhi aayega.


    Aishwary sharma (mechanical)

    ReplyDelete